Thursday, 11 December 2014

on Leave a Comment

Asha'ar Azadari-e-Hussain (a.s)


  • Wilayat jaan hai 

Aza pehchaan hai

Azadaran-e-shabbir (a.s)

adat nhi momin ki fitrat hai yeh Matam
wallah ke jeene ki alamat hai yeh matam
zalim ke irado se bagawat hai yeh Matam
har daur ke mazlom ki takat hai yeh Matam
yeh kaarwa Matam ka sada chalta rahega
RUK jye gi sanse to bi Matam na rukega



  • Islam ki bahaar hai maatam Hussain (a.s) ka,
Zainab (s.a) ki Zulfiqaar hai maatam Hussain (a.s) ka;
Uska koi Yazeed say rishta zaroor hai,
Jis ko bhi naa-gawar hai maatam Hussain (a.s) ka



  • Naar-e-Dozakh milay Deenh kay ghaddaron ko,

Hirs-e-Jannat bhi nahin Haq kay paristaaron ko;
Fatima (s.a) haath utha kar jo dua daiti hain,
Aur kia chahyay Maula (a.s) kay a'zadaron ko



  • Rutba ghum-e-Hussain (a.s) ka haasil dikhayi dey,

Farsh-e-a'za nijaat ka saahil dikhayi dey;
Kuch der farz keejyay, ye majlisen na hon...
Sara jahan Hussain (a.s) ka qaatil dikhayi dey.



  • Jo nasl-e-Yazeed say rakhta hai raabeta,

Jalta hai aaj roza-e-Sarwar (a.s) ko daikh kar;
Majlis mein aana iss liyay bid'at bata diya,
Yaad-e-Ghadeer aati hai, mimbar ko dekh kar.



  • Shabbeer (a.s) ka naukar hoon, khata-kaar bhi hoon,

Dozakh mein jaoon ga, gunah-gaar bhi hoon;
Gar Dozakh mein lay jaayenge farishtay mujh ko,
Aag ro, ro kay bujha doon ga, a'za-daar bhi hoon




  • Hargiz nahin hai maatam-o-sajda alag, alag,

Dono mein hai Shabbeer (a.s) ka jalwa alag, alag;
Sajdon ka bhi nishaan hai, maatam ka bhi nishaan,
Dono karen ge qabr mein jalwa alag, alag;
Jo log munkireen-e-Wilayat hain, un se tau,
Nimtain ge khud Imam-e-Zamana (a.j.f) alag, alag;
Hurr (r.a) ba-naseeb tha, bud-naseeb Hurmala,
Dono ka naam aik tha, shajra alag, alag;
Haider (a.s) kay munkireen say hain momin kuch aisay door,
Rehtay hain jesay murdon say zinda alag, alag



  • Ajab, kabhi zikr-e-Hussain (a.s) jo bayan hota hai,

Tau bughz chehra-e-Iblees say a'yan hota hai;
Kia ajab raaz maatam-e-Shabbeer (a.s) mein hai:
Haath parhta hai yahan, dard wahan hota hai.



  • PANI gham-e-Hussain (a.s) mein behnay ka hai sabab,

Kartay hain log AAG pay maatam, ba-sad adab,
Nauhon ki har sada pay HAWAYEN hain muztarab,
Farsh-e-aza bhi KHAAK pay bichhta hai roz-o-shab;
Chaaron pay raaj hai, Shah-e-Mushriqain (a.s) ka,
Dar-asl zindagi pay hai qabza Hussain (a.s) ka



  • Islam ko Karbal ka azadar pasand hai,

Mazloom ki ulfat ka yeh kirdar pasand hai;
Har shehr kay har morh pay matam ki sadayen,
Zainab (s.a) ko mawaddat ka yeh iz'har pasand hai;
Shabbeer (a.s) ka gham dil say manata hai jo momin,
Sajjad (a.s) ko Baba ka wo gham-khwar pasand hai;
Iss daur-e-sitamgar mein rahay Haq pay jo qayem,
Mehdi (a.j.f) ko wo Deen ka taraf-daar pasand hai.



  • Rona Hussain (A.S) ka hai, aqeedat Hussain (A.S) say,

Maatam ka silsila hai muwaddat Hussain (A.S) say;
Seenon pay haath maar kay kartay hain yeh a'ilaan:
Nafrat Yazeed say hai; mohabbatHussain (A.S) say.



  • Maa ki aaghosh mein wo jam piya hai mein ne,

Lab hilay tau Ali (A.S) naam liya hai mein ne;
Aur mili quwwat-e-junbish jo meray haathon ko,
Goad mein maatam-e-Shabbir (A.S) kiya hai mein ne

Wednesday, 10 December 2014

on Leave a Comment

Asha'ar Ali Asghar (a.s)

  • Aur bhi hota kuch asghar ka safar toolani
sirf jhoole se machalkar na zami par ata
wo to kahiye ke hussain Ibne ali a gaye lene ke liye 
warna maidaan talak ghutniyon chalkar jata
on Leave a Comment

Asha'ar Janab- e-Zainab (s.a)

  • Zainab (s.a)-o-kulsoom(sa) nikli baad-e-sha-e-karbala..
Kayma-e-isaar sey deen ko bachaney key liye..
Keh rahi thi shaam mein kulsoom(sa) ki khamushiya..
Aik behan kaafi hai zalim ko mitaney keyliye...
on Leave a Comment

Asha'ar Imam Hussain (a.s)

  • "HUSSAIN (A.S) ne zikr-e-Khuda ko a’ala bana dia,
Benaam thi Karbala, usay mu’alla bana dia;
Socho k kitna pakeeza hai KHOON-E-HUSSAIN (A.S),
Jab gira tau khaak-e-shifa bana dia.”


  • Islaam chahiye tou chalo karbala chalo..
Inaam chahiye tou chalo karbala chalo..
Kuch naam chahiye tou chalo karbala chalo..
Imaan chahiye tou chalo karbala chalo..
Karbobala ki reyge tapaan per hussain(as) hai..
Allah bhi wahin hai jahan per hussain(as) hai..


  • Raahib se poochiye kabhi Fitrus se poochiye
Kashti bhanwar mein ho to kinara Hussaina.s hai
Hyder  ka  aftab  hai  Zehra s.a   ka maahtaab
Hurr   ke naseeb ka  to sitara Hussain a.s hai


  • Ye phool teesra hai  Imamat  ki shaaqh par
Jisko Nabi s.w pehrein vo sipara Hussaina.s hai
Taa hashr ye khayal mere dial ka chain hai
"Shahid" meri najat ka Zamin  Hussain a.s hai


  • Kabhi Zameen se Kabhi Arsh se Salam Aaya.

Kabhi Shahadate Uzma ka Payam Aaya.

Khuda To Sabhi ke Kaam Aata Hai.

Wo "HUSSAIN" a.s Hai jo Khuda ke Kaam Aaya.!!



  • Sawaal karti hai duniya ke kya Hussain (a.s.) ka hai????

Bhai! Khudaye Paak hai sabka, Khuda Hussain(a.s.) ka hai.

Ali(a.s.) ki beti ka, ye ikhtedar toh dekho!

Mahal Yazeed ka, Farshe Aza Hussain(a.s.) ka hai.
on Leave a Comment

Asha'ar Imam Ali ( a.s )


  • Kaaba Ali (A.S) k faiz se gulzar ban gaya,
But khanay se badla tau ba waqar ban gaya;
Kaaba Ali (a.s) ka shukria karnay ke waastay,
Kaala libas pehn k azadar ban gaya



  • Ali (a.s) aur Quran mein rishta kya hai...........

Quran.......milkiyat hai
Ali.......... malik hai
Quran.......meeras hai
Ali.......... waris hai
Quran........ kalam hai
Ali.......... imam hai
Quran..........nabi ke dil pe utra
Ali.......nabi ka dil hai
Quran........aitbar hai
Ali........haider-e- karrar hai
Quran.......kainat hai
Ali....Kainat-e- sardar hai
Quran...... me sura e momin hai
Ali....Amirul momneen hain
Salam ya panjatan pak
A.s



  • Na koi Shaah, Na koi Vazeer Zinda hai.

Ali ke dar ka magar har Faqeer Zinda hai.

Ali ko chodhne ka hashr dekh le dunya.

Saqeefa mitt gaya, Lekin Ghadeer Zinda hai.