Thursday, 11 December 2014

on Leave a Comment

Asha'ar Azadari-e-Hussain (a.s)


  • Wilayat jaan hai 

Aza pehchaan hai

Azadaran-e-shabbir (a.s)

adat nhi momin ki fitrat hai yeh Matam
wallah ke jeene ki alamat hai yeh matam
zalim ke irado se bagawat hai yeh Matam
har daur ke mazlom ki takat hai yeh Matam
yeh kaarwa Matam ka sada chalta rahega
RUK jye gi sanse to bi Matam na rukega



  • Islam ki bahaar hai maatam Hussain (a.s) ka,
Zainab (s.a) ki Zulfiqaar hai maatam Hussain (a.s) ka;
Uska koi Yazeed say rishta zaroor hai,
Jis ko bhi naa-gawar hai maatam Hussain (a.s) ka



  • Naar-e-Dozakh milay Deenh kay ghaddaron ko,

Hirs-e-Jannat bhi nahin Haq kay paristaaron ko;
Fatima (s.a) haath utha kar jo dua daiti hain,
Aur kia chahyay Maula (a.s) kay a'zadaron ko



  • Rutba ghum-e-Hussain (a.s) ka haasil dikhayi dey,

Farsh-e-a'za nijaat ka saahil dikhayi dey;
Kuch der farz keejyay, ye majlisen na hon...
Sara jahan Hussain (a.s) ka qaatil dikhayi dey.



  • Jo nasl-e-Yazeed say rakhta hai raabeta,

Jalta hai aaj roza-e-Sarwar (a.s) ko daikh kar;
Majlis mein aana iss liyay bid'at bata diya,
Yaad-e-Ghadeer aati hai, mimbar ko dekh kar.



  • Shabbeer (a.s) ka naukar hoon, khata-kaar bhi hoon,

Dozakh mein jaoon ga, gunah-gaar bhi hoon;
Gar Dozakh mein lay jaayenge farishtay mujh ko,
Aag ro, ro kay bujha doon ga, a'za-daar bhi hoon




  • Hargiz nahin hai maatam-o-sajda alag, alag,

Dono mein hai Shabbeer (a.s) ka jalwa alag, alag;
Sajdon ka bhi nishaan hai, maatam ka bhi nishaan,
Dono karen ge qabr mein jalwa alag, alag;
Jo log munkireen-e-Wilayat hain, un se tau,
Nimtain ge khud Imam-e-Zamana (a.j.f) alag, alag;
Hurr (r.a) ba-naseeb tha, bud-naseeb Hurmala,
Dono ka naam aik tha, shajra alag, alag;
Haider (a.s) kay munkireen say hain momin kuch aisay door,
Rehtay hain jesay murdon say zinda alag, alag



  • Ajab, kabhi zikr-e-Hussain (a.s) jo bayan hota hai,

Tau bughz chehra-e-Iblees say a'yan hota hai;
Kia ajab raaz maatam-e-Shabbeer (a.s) mein hai:
Haath parhta hai yahan, dard wahan hota hai.



  • PANI gham-e-Hussain (a.s) mein behnay ka hai sabab,

Kartay hain log AAG pay maatam, ba-sad adab,
Nauhon ki har sada pay HAWAYEN hain muztarab,
Farsh-e-aza bhi KHAAK pay bichhta hai roz-o-shab;
Chaaron pay raaj hai, Shah-e-Mushriqain (a.s) ka,
Dar-asl zindagi pay hai qabza Hussain (a.s) ka



  • Islam ko Karbal ka azadar pasand hai,

Mazloom ki ulfat ka yeh kirdar pasand hai;
Har shehr kay har morh pay matam ki sadayen,
Zainab (s.a) ko mawaddat ka yeh iz'har pasand hai;
Shabbeer (a.s) ka gham dil say manata hai jo momin,
Sajjad (a.s) ko Baba ka wo gham-khwar pasand hai;
Iss daur-e-sitamgar mein rahay Haq pay jo qayem,
Mehdi (a.j.f) ko wo Deen ka taraf-daar pasand hai.



  • Rona Hussain (A.S) ka hai, aqeedat Hussain (A.S) say,

Maatam ka silsila hai muwaddat Hussain (A.S) say;
Seenon pay haath maar kay kartay hain yeh a'ilaan:
Nafrat Yazeed say hai; mohabbatHussain (A.S) say.



  • Maa ki aaghosh mein wo jam piya hai mein ne,

Lab hilay tau Ali (A.S) naam liya hai mein ne;
Aur mili quwwat-e-junbish jo meray haathon ko,
Goad mein maatam-e-Shabbir (A.S) kiya hai mein ne

0 comments:

Post a Comment